*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹273
₹325
16% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
prakriti ke saundary bodh se jivan ka darshan juda hua hai . prakriti ko niyanta ne vividh vidhi rangmayta se sampann kiya hai . raag - dwesh rang - aakarshan sabhi to hain isme .saare udwegon se mukt muflis ek hi lihaaf men apne priy pashuon ko bhi sulaate hain . ek pura kunba puaal ke dher par ek chadar ke tale jis sparsh - sukh ki garmi kaa anubhaw karta hai wahi jeene kaa marm hai . har mausam ke sath dukh - sukh juda hai . hamari antashchetna unse kaise saamanjasy bithati hai yahi to aatmbodh hai .agar wasant ke aagman men hum palken bichhaye rahte hain to sharad ka bhi dil se swagat karna chahiye .pyar waatsaly aur safalta ki anubhutiyaan dil ko khushiyon se saraabor kar deti hain .har achchha anubhaw jivan ka wasant kaal hota hai . sawan ki rumaani fizaan bhi aag ugalti mahsoos hoti hai yadi man udaas hota hai . kaha gaya hai ki asli mausam to man ke andar hota hai .to der kis baat ki man ke mahakash men maaawas - amaawas donon ke bimb ubharne den . wasat ke liye palken bichhi hon to sharad ke liye bhi aaturta ho . chitt se nakaaratmakta awsaad aur ghutan nikaal kar aisa rikt kar den ki kewal umang utsaah aur josh ke liye wahaan jagah ho chahe mausam man ke anukul ho ya pratikul .