Tera Hi Karam Hai – ek kavita sangrah hai jo roz ke vyast jeevan se kuchh pal nikal kar likha gaya hai jisme maine jeevan ke vibhinn pahluon ko kavita ke madhyam se vyakt karne ka prayaas kiya hai. Yeh kavita sangrah jeevan ke sangharshon utaar–chadhaavon bhavon evam anubhavon par aadharit hai jo pathakon ke saath judne mein madad karegi.