Meri yah kitaab Tum... Mai Ban Jaana aapko kahin na kahin apne aas-paas aisa hi kuch chal raha hai iska aabhaas karaayegi. Shirshak hi kaafi mazedaar aur dil ko choo lene wala hai. Meri is kitaab mein choti-choti kuch kavitaayein panktiyaan aur chaar prerna dene wali kahaaniyan hain. Apni rachnaon mein maine aap sabhi ka dhyaan sirf Naari ki Duniya par kendrit karne ki koshish ki hai.