Uttar Bharat ke Panchangon Ki Sameeksha (Ganitiy Paripekksh Mein)

About The Book

Bhartiya sanskriti mein Sanatan se dharmik aarthik saamajik raajnaitik va lokkalyan ke kriya-kalaapon mein Vaidik sahitya ke antargat Jyotish vidya ka sahyog abhinna ang hai. Jan manas mein vrat parv aur tyohaaroon ka sahi samay par anupalan ho iske liye Panchangon ki rachna ki gayi jismein grahon ki brahmandiy gati-sthiti ka nirdharan ganit ki anek shaakhaon—jaaymiti ankganit trikonomitiya evam saaraneey sanrachna—ke dvaara hota hai. Uttar Bhartiya kshetra se prakashit in Panchangon mein poornatah ekroopta na hone ke kaaran janmanas mein sanskritik va dharmik krityon ke nirdharan mein sanshay dekha jaata hai jiska kaaran in Panchangon ke nirmaan mein prayukt ganitiy shuddhata ka poornatah pramaanik na hona dekha jaata hai jise lekhak dvaara tulnatmak drishti se dekha gaya hai. Jyotish moolatah aakaashiy grah-nakshatron ki vastu-sthiti ki kaalganana ke aadhar par rishiyon va drishtaaon ke jeev jagat par padne wale prabhaavon ke nirantar anubhav aankdon anushilan va anusandhan ke pratiphal ka pratipaadan hai. Yah kaalganana aakaash mein ghatit ho rahi pindon ki ek sunishchit gati par aadharit hai jise Ganit Jyotish ke anek siddhant granthon mein samaahit kiya gaya hai saath hi vedhshaalaon ke madhyam se saadha gaya hai.
Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE