<p>Prastut pustak 'Uttarshati Ke Sahityik Vimarsh' mein Vimarsh Ki Awdharana Stree Dalit Adiwasi Alpsankhyak Bal Vriddha Samlaingik Kisan Divyang evam Pravasi vimarshon par alochnatmak alekh sammilit kiye gye hain. Hindi ke sandarbh mein 'Uttarshati' shabd ek aise daur ko ingit karta hai jahan sahityik-samajik-sanskritik aayamon par vividh charchayein ki gyi hain. 'Uttarshati' 20vin aur 21vin sadi ke beech ek aisa sankraman kal kaha ja sakta hai jismen kuch aise sahityik mudde ubhar kar aaye jinhone beeti sadi ke patal par khade hokar bhavishya ki sadi ko vimarsh ke roop mein sahityik bahson ka ek navin dharatal pradan kiya. In vimarshon ka uddeshya 'Sanrachnatmak Asamanta' ko mitana hai. Sath hi ye manushya ke roop me swikriti evam adhikar tatha pahchan aadi se bhi judte hain. Kintu ye keval itne tak hi seemit nhin hain. Ye sabhi vimarsh apne swaroop aur sanrachna mein paryapt bhinnata bhi rakhte hain. Ye vimarsha aur bhi bahut kuch sath lekar chalte hain jinhe sammilit alekhon me dekha ja sakta hai.</p>
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.