*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹189
₹205
7% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Insaan amar to nhi par uske lekh jarur hai. apne soch-vichar ko shbd dene ka ek pryas hai yah kitab. pareshniyo ko dusre dristikon se dekhne ka pryas hai yah kitab. wqt kaha tha yah btane ka andaz hai yah kitab.Sirf lekh nhi mere jazbat hai yah kitab. Yah kitab likhne me mujhe kareeb 6 saal lge. Do kitabo ke sangrah ka yah pehla bhaag hai. es poori kahani ko do bhaag me baatne ka karan yah bhi tha ki dono bhle ek dusre se jude hue hain parnatu dono ka bhaav ekdm alag hain. Jaha yah kitab maanv jeevan ki kuch pareshaniyo ke baare me baat karti hai whi iske agle bhaag ahori me bhut-pret shadyantr aadi ki baatein hui hain. Aisa bahut kuch hota hai hamare jeevan me jiska hamare paas koi jwab nhi hota. Kuch aise log hme milte hain jinko dekh kar hamare mastisk me ek hi swal aata hai main inke jaisa kyu nhi hu? shayd ye kabhi hm nhi mjh paate hai ki wo samne wala bhi whi sawal khud se puchte hai. aap soch rhe honge ki main aap logo se kya baatein kar rha hu. asaan bhasa me smjhaya jaye to upr ki jo pankti hai wah is kitab ka saransh hai. Bs kitab ka kehna shi nhi hoga jeevan ka saar bolna jyada upyukt hoga. Es kitab me sawalo ke madhyam se aaj-kal ki pareshaniyo par prakash daala gya hai; jaise gareebi siksha ka vyavsaikaran apne-parayo ke beech bdhti duriya aur adhunikta ka hamare upr prabhav.