About the Book: Aapke haathon mein mera yah pehla kavita-sangrah Yaadon ka Roshndan hai jo mere hriday ke komaltam bhavon anubhavon aur chintan ka parinaam hai. In kaviton mein jeevan ke vividha rang samaaj ki sanvedanaayein prakriti ki sugandh aur aatma ki pukaar samaahit hai. Lekhan mere liye keval shabdon ka kram nahin balki aatma-abhivyakti ka maadhyam hai. Ye rachnaayein meri nijee yaatraaon ki saajhi smritiyaan hainkabhi prashn hain kabhi uttar; kabhi peeda hai to kahin prem ki abha. Main aasha karta hoon ki ye kavitayein aapke hriday ko sparsh karengi aur kahin-na-kahin aapke vichaaron aur anubhootiyon se judh paayengi. Yadi yah sangrah aapke man mein thodi bhi halchal ya aatma-chintan utpann kar sake to main apne prayaas ko safal maanoonga. Aapka sneh Dr. Harish Singh Negi About the Author: Dr. Harish Singh Negi ek rasayan vigyaan ke gyaata hain jinhone Bharatiya Praudyogiki Sansthaan (IIT) Kharagpur se Ph.D. ki upaadhi praapt ki hai. Vaigyanik shodh ke kshetra mein utkih yogdaan dene ke saath-saath Dr. Singh sahitya aur vishesh roop se kavita ke prati bhi gehri abhiruchi rakhte hain. Yah kaavya sangrah unke hriday ki anubhootiyon jeevan ke vividha rangon aur samay ke saath badalte bhaavon ka adbhut sankalan hai. Ismein na keval unke vartamaan vichaaron aur bhaavon ko sthaana mila hai balki kuch aisi vishesh kavitayein bhi sammilit hain jo unke bachpan aur yuvaavastha ke dino ki smritiyaan liye hue hain. Dr. Singh ki kavitayein saral bhaavapurn aur sanvedansheel hain jo paathakon ko aatm-chintan aur bhaavnaatmak judav ka avsar pradaan karti hain. Yah sangrah unke jeevan ke anubhavon sanvedanaon aur srujanatmakta ki ek jhalak hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.