<p>jindgai aur kavita hamesha se ek dusre ko akaar deti rahi hain. kabhi jindagi kavita likhwati hai to kabhi kavita jeevan ko paribhashit karti hai aur jeevan ko seenchti hai. kavitaayein jeevan ki sanskriti hai to kabhi sanskar bhi ban jati hai. barf pattiyan khushk kathor pahaad kabhi hari bhari lubhawani vadiyan kabhi sheharikarkash katuta uchati liye shehri parivesh ka chhota sa sankeern sankuchit vikhandit bhav kabhi ganv ka vishal apnapan sada-sattvik poshan hai kavita. </p><p>bhaur mein angdayi lekar jivit hota diwas kabhi dopahar ka alam hai to kabhi uljhan bhare jeevan ka thehraav hai kavita. jeevan ke sangeet ke har raag ko sanjoye yah kavita sangrah Yaadon ke shehar se yakinan aapko anandit karegi. </p>
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.