*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹150
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Kabhi Jehan mei khyal aata tha likhna bhaut aasaan hai. Bas chaheye kagaj kalam ek dil dimag or kuch lafj bs likhne ka silsila chal nikalta hai. Lekin jb lekhni hatho mei liya tb samjh aaya lafjo nazmo kavitao k khel niralehote hai. Tulika pakad kalpana k sahare jindigi k satche rang nahi ukere ja skte hai. Aisi rang kbhi bhaut ghere kbhi halke or kbhii badrang ho jate hai. Likhne k liye chaheyeJindigii k sache sabak sachi sikh chote anubhav or unse nichod lafj. Inse banti hai sachii kavitaye or nazm. Sach hai Dil se nikli bate hi dil tk jatii hai. Bahte pani si anvarat chalti jindigi ne bhaut rang dikhaye.Jivan mei utaar-chadaav or tharav dhikhaye. Khud aaena banne mei in sb ko sabdoo or lafjoo ka jama......libaas pahana kavitaa ka roop de diya. Jindigi ko in kavitayoo mei dhalne ki ye kosis kaisii lagii??? Kya ye kavitaye aapke dil ko chutii hai????? Padh kr dhekheye na.